Maine kal ek jhalak
Maine kal ek jhalak ZINDAGI ko Dekha
Woh Meri Raah mein Kahin Gunguna rahi thi
Main ney Usay
Dhondha Idhar Udhar
Aankh Macholi Khelti
hui Woh Muskura rahi thi
Eik Arsy Baad aaya tha
Mery DiL ko Qarar..
Woh Thapki dey ke Mujhe
Sula rahi thi
Hum Dono Kyun thay
Khafa Eik Doosray sey
Main Usko,
Woh Mujhko Bata rahi thi
Main ney Kaha Tu ney
Mujhe Yeh Dard Kyun diya.?
Boli Main
“ZINDAGI”
hoon,
Tujhe Jeena Sikha rahi thi.



Posted in : 